hindi sahityetias ke bhaktikal ne stree ke saath nyaya nahin kiya;yah kahana thik nahin hai;balki us ne naree ke saath bahukoneeya anyaya kiya;yahi kahana thik hai.bhakti ki pooree awadharana hi purushwadi hai.ishwer chahe pita roop men ho ya pati roop men athawa aur sahaj ho kar sakha roop men , woh hai to mard hi.bhaktikal ke sare sant kaviyon ne naree ko akaran dand diya.us samaya usakee ghor durawastha thi,par we us ke prati nirapeksha rahkar adhyatm kee fakamasti karate rahe.uper se nari se barabar apeksha karate rahe ki woh mard kee duniya ko gulazar karate rahe.woh maan ka dayitva nibhate rahe yanee bachchon kee prajanan-mashine banee rahe ,palan karate rahe.woh patiwrata banee rahe,yanee pati namak thope gaye mard-vishesh kee eknishtha yaun-dasi b anee rahe. itana hi nahin,pati yani us thope gaye mard kee maut par sati bhi ban jaaaye,yanee us ki chita par jal mare.kabir aur jayasi jaise kavi nari se yah apeksha rakhane men sab se aage the.tulasidas to nari-sashaktikaran ke sab se vyavyasthit vidrohi kavi thehi.surdas ke yanha nari vyawaharik dharatal par swachchhand vihangini hai to sahi,par moolya ke star par woh bhi bandini hai.bhaktikal ne meera jaisi stree ko jab masik sraw ke kund matra ke roop men samajha (bakaul JEEV GOSWAMI),to us samaya samanya naree kee haisiyat kya thi,yah samajha ja sakata hai.naree ke sare adhikar chhin kar use pitrisattatmak shoshan kee bhishan yatana-chakee men peese jane kee sanskriti par to bhakt kaviyon ne koi sawal nahi khada kiya,uper se apane zahareele zuban se naree ko nindit karane ke saare record tod daale.bhaktikal ke aalochakon ne bhi mahapurushon kee mahima ke geet jitana gaaye, utana dhyan naree yanee aadhee aabade ke prati un ke anyay par kendrit na kiya. kya itane bade janasankhya-varg ke prati anyay kee anadekhi karan lekhakeeya ya aalochanatmak yogyata men koi katauti nahi karata?
ukt prakar se sochate huye mai ne ek shodh-lekh lika hai---'bhaktikaal : stree-nirapekshata se stree-ghat tak phailee moolyavyawastha' , jo shighra hi kitab men aayegee.
सत्-चित्-वेदनामय है जीवन! वेदना विषमता से प्रसूत है, जो नैसर्गिक नहीं, हमारे द्वारा निर्मित समाजार्थिक/ सांस्कृतिक ढाँचे की देन है । हम इस ज़मीनी हक़ीकत को समझें और इस की बुनियाद में रचनात्मक बदलाव लाने हेतु सजग-संलग्न रहें! ताकि, इस स्वच्छन्द खिलावट का जन्मसिद्ध अधिकार हर नर-नारी को उपलब्ध हो; न कि चन्द लोगों का विशेषाधिकार बन कर रह जाए!
जीवन-दर्शन के सूत्र
(1) “ अगर इन्सानों के अनुरूप जीने की सुविधा कुछ लोगों तक ही सीमित है, तब जिस सुविधा को आमतौर पर स्वतन्त्रता कहा जाता है, उसे विशेषाधिकार कहना उचित है ।” -- डॉ. भीमराव आम्बेडकर (2) “ मैं साहित्य को मनुष्य की दृष्टि से देखने का पक्षपाती हूँ । जो वाग्जाल मनुष्य को दुर्गति, हीनता और परमुखापेक्षिता से न बचा सके, जो उस की आत्मा को तेजोद्दीप्त न बना सके, उसे साहित्य कहने में मुझे संकोच होता है ।” -- आचार्य हज़ारी प्रसाद द्विवेदी